Monday, 3 November 2014

Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain

Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain

         901


ek "ZAY" li zaboor se
ek "YAY" li yaqeen-e-youm-e-yawar-e-zahoor se
ek "NOUN" li nabi (s.a.w.w)k noor se
ek "BAY " li fatima (a.s) k bab-e-shaoor se
ek ek hurf deen-e-nabi ka dawaam tha
sab kuch mila k dekha to "ZAINAB" ka naam tha

        902


14 Sadiyon Se Aqeedat Ka Safar Jaari Hai
Zindagi Aal e Mohammad Se Wafadari Hai
Hum Ko Tasleem Namazon Ki Fazilat Magar
Bint e Zehra Ki Tamanna Ye AzZadari Hai

        903


JAb Moharram k Julooson Py Nazar Jaati HAi
Khushbu e Farsh e AzZa Dil MAi Utar Jati HAi
Hath Kaatay Thay ALAMDAR K Jin Logon Ny
Un Ki Aulaad Alam Dekh KAr Dar Jati HAi

        904



IMAM HUSSAIN(A.S) farmatay hain : HUM wo hain jin kay pass kul-kitab ka

ilm hy oer iss ka bayan majood hy oer HAMARAY elawa sari makhloqat main

koi asa nahi hy iss leay kh HUM israr-e-ILLAHIYA kay ehl hain.

{ Ref : Manaqib ibn Shahir-e-Ashoob }

        905


Jab Main Dastarkhwan Per Do Rang K Khane Dekhta Hun To
Main Laraz Jata Hun K Aj Phir Kisi Ka Haq Mara Gaya."
_
Mola-e-Kainat Hazrat Ali Ibne AbuTalib 'a.s'

        906


Qaim hy jis ki dil pe HUKUMAT tum hi tou ho,
MOLA KHUDA ki Akhri HUJAT tum hi tou ho,

Tere siwa wo koun hy Aye 12ven ALI(A.S)
Jis k liye ruki hai QAYAMAT tum he tou ho,

Aye ASKARI k Chand MUHAMMAD ki Aarzoo,
Qaim hy jis k dum se IMAMAT tum hi tou ho_

"AL AJAL YA SAHIB-uz- ZAMAANa.s

        907



LAFZ "SHIA" KA MATLAB HOTA HAI ALI A.S KA NOKAR
IS LYE QUDRAT NEY HUMEIN DALA ALI A.S K DAR PER

HUM TADAD MEIN KAM HAIN MAGAR TAQAT KA KHAZEENA HAIN
HUM KYUN DAREIN ALI A.S HAIN HUMARE SIR PER
...

KOI KEHTA HAI KAY SHIA HAZIR JAWAB HOTY HAIN
ARY HUM TO JO KEHTE HAIN WO ALI A.S KI SHEH PER


HUMARA REHBAR MOJEEZ NUMA,SHER-E-KHUDA
HUM NAHI REHTE KBI KISI AERY GHERY SE DAR KAR


DUSHMAN BOHAT AYE MOLA SE LARNAY K LYE MAGAR
HOGAYE WASEELY JAHANNUM BE-CHARAY MAR KAR


LUTF ATA HAI BOHAT JB SAMNAY WALA SIR PHERA NIKLAY
HUM KO MOLA KAY LIYE ATA HAI MAZA US SEY LAR KAR


AZMAT-E-DEEN-E-MUSTAFA ZAINAB(S.A)
HUBAHU SHAKL-E-FATIMA(S.A) ZAINAB(S.A)

AY AZAADAAR-E-SHAH JEETE RAHO
HUMKO DETI HAI YE DUA ZAINAB(S.A)

KAB KA ISLAM KHO CHUKA HOTA
GHAR KA DETI NA AGAR PATAA ZAINAB(S.A)

KARKE QURBAAN GHAR KA GHAR APNA
TUMNE KAABA BACHA LIYA ZAINAB(S.A)

AUR KOI SUNE SUNE NA SUNE
SUN RAHI HAI MERI SADA ZAINAB(S.A)

WO JO KAABE NE ORH RAKHI HAI
ASR MEIN HAI TERI RIDA ZAINAB(S.A)

MAIN JO KARTA RAHA SANA-E-HUSSAIN(A.S)
MUJKO DETI RAHI DUA ZAINAB(S.A)

            908

ALI K Kamalat Dakh Kar...
Izzat Khuda B Deta Hai ...Oqat Dakh Kar..
Milti Jo Asay Weson Ko.. Tu Hilti Na Zulfiqar...
Talwar RAB Nay Dee Hai... Magar Hath Dakh Kar..

           909


Mustahiq Hun Main Agr Ya RAB Kisi iNaam Ka
Wasta Tuj Ko SHAHEED'e KARBALA K Nam Ka

KhuLd Say PheLay Mujhay Aik Moqa Kar Aata
Hath Mai JOTA Ho Or Sir yazeed'e Shaam Ka

           910


RASOL(S.A.W.W) ny frmya kh :::

Jo hamaray AHLY-BAYAT(A.S) main sy kisi kay sath bhe acha bartaou karay

ga MAIN(S.A.W.W) roooz-e-qayamt oss ka badla zaroor doun ga.

{ Ref ::: Kafi, Tehzeeb, Kanzul-Amal }

           911


ALi ka Zikar meri Zaat ki Pehchan hy,
iS bin meri Zindagi ka Maqsad weeran hy,

AQeedat Se Leta hoon PANJTAN ka naam,
Bus Yehi baat meri JANNAt ka Saman hy..

         
           915


"Is Aasrey Pe Dil-e-Beqarar Zinda Hai,
Koi Tou Ashqo'n Ka Umeedwar Zinda Hai,
Gham-e-Hussain Ko Biddat Zara Sambhal K Kaho,
Abhi Hussain Ka Ek Sogwaar Zinda hai.

           916


"Muntazir hum hi nahin hain, muntazir hain Fatima (S.A),
Ab bhi Bait-ul-Huzn mein ro rahi hain Syeda (S.A);
Roknay Bibi (S.A) kay aansoo, aa bhi jaao jald, Imam (A.S),
Qatil-e-Mohsin (A.S) ko apnay haath say denay saza."

           917


Hijab-e-Ghaib Utha Dijiye Khuda K Liye
Jabeen Tarasti Hai Bas Teray Naqsh-e-Pa k Liye

Yazid-e-Waqt Se Keh Dy Zara Koi Ja Kr
Hy Ek Hussain a.s Abhe Or Teri Fana K Liye

Zahoor Aap Ka Dekhu'n Yehi Dua Mangi
Uthay Hain Hath Jo Meray Kabhe Dua K Liye

           918


"Itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai,
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai,
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay,
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai .

           919


Bun Kar Hussain Aie Ya Sahibuzaman,
Abh Tu Niqab Uthaie Ya Sahibozaman(A.S)

           920


Areeza! Mola Mehdi(A.S),

Iztiraab Qalb Jo Bhi Hai Wahi Likha Kro!
Chasham K Awaan Ki Halat Sabhi Likha Kro!
Apna Kya Likhna Hai Wo Kis Baat Se Hain Baikhabar!
App Kaise Hain?Kabh Ayen Gai ?Yahi Likha Kro!

           921


Qaim e Aal e Mohammad K Qasida Likhain
Aaiye 12Wain Haider Ko Areeza Likhain
Kaghazi Na'o Areezay Ko Bana Kar Bhejain
Ashk Ki Mohar Lifafay Pe Laga Kar Bhejain.

           922


Ay Mere Mazhar e Deen, Mazhar e Khaliq Aaja
SidQ Ki Ab Hai Zarurat Mere Sadiq Aaja
Log Saamit Ko Samjh Bethay Hain Kaafi Mola a.s
Pardah Ghaibat Ka Utha K Mere NatiQ Aaja

           923


Saher Qareeb Andheron Ko Door Hona Hai
Zaleel Dusman e Deen Ko Zaroor Hona Hai
Bata Rahi Hain Ye Tabdiliyan Zamanay Ki
Kisi Wali Ka Yaqenan Zahur Hona Hai.

           924


Dua e Mola Imam MEHDI a.s

Mere Mola Aao k Mudat Hui Hai
Sitam Zalimo'n k Uthatay Uthatay

Tere Dushmano'n Ki Guzarti Hain Naslain
Tere Dosto'n Ko Sata'tay Sata'tay

Laeno'n Ne Hum Par Mazalim Woh Dhaye
Jawan Saal Lasho'n K Tukray Uthaye
Chalay Hain Shahadat Ka Sehra sajaye
Woh Shadi Ka Sehra Saja'tay Saja'tay

Jo Behnay Hain Zinda To Bhai Nahi Hain
Maa Baap Baqi To Beta Nahi Hai
Hain Moujood Betay To Saaya Nahi Hai
Jigar Kampta Hai Bata'tay Bata'tay

Jahan Har Lamhay Thi Khushi Muskurati
Wahan Ab Hai Ronay Ki Aawaz Aati
Lipat'tay Hain Ma'on Se Masoom Bachay
Guzar Jati Hai Shab Sula'tay Sula'tay

Sada Huq Ki aati Hai Ae Haider Yeh
K Kasrat Pe Qillat Ka Ghalba To Dekho
Mita Na Saka Ek Mazloom Shah Ko
Inhay Sadiyaan Guzar Gaen Mita'tay Mita'tay

Mere Mola aao K Muddat Hui Hai
Sitam Zalim'on K Utha'tay Utha'tay

" Al'Ajal Ya Waris e Deen'Ullah "

           925


Bint e Ali , Ali ki tarha sarfaraz he.
ZAINAB s.a Khuda ki shan Muhammad ka naaz hain.

ZANAIB s.a raza e sabr kijaiy Namaz he.
ZAINAB S.A NABI s.a.w.w ke Deen ki Ummar e daraz he.

           926


Sajda hai,Tilawat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)
Mairaaj-e-ibadat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)

Islam ki khidmat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)
...Haan Ajr-e-Risalat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)
...
Sirf sajdon se to jannat ki hawa bhi Na miley gi,
Jannat ki zamanat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)

Main tu gam-e-sarwer k lian khaliq howa hun,
Meri tu Ibadat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)

           927


Shabbir Tera Pehla Azadaar Chala Hai,
Kunbay Ko Lay K Abid e Bemaar Chala Hai,

Hai Qafla Aseeron Ka ounton Ki Pusht Per,
Zanjeeron Main Jakra Hua Salaar Chala Hai,
......
Haq Zahra K Jis Takht Se Jhutlaya Gaya Tha,
Zainab Ko Lay K Phir Usi Darbar Chala Hai,

Karrar Ka Pota Hai Ye Tanha Hi Bohat Hai,
Darbar Hilane Ko Ye Karrar Chala Hai

           928


Aey Logo mughy tmhary bary main sab sy ziada 2 baton ka dar hy.
Ek Khowaheshon ki pervi aur docry omedon ka phelao.

Khowaheshon ki pervi vo chez hy jo haq sy rok dyti hy.
Aur
Omedon ka phelao aakhrat ko bhola dyta hy.

HZRAT MOLA ALI A.S

Nehjlblaga
p#175

           929


TA HASHAR YEH KHYAAL MERE DIL KA CHAIN HAI
"MOHSIN" MERI NIJAAT KA ZAAMIN HUSSAIN A.S HAI

           930


ZIKR-E-HUSSAIN KARNA RAZA-E-RASOOL S.A.W.W HAI.
RASOOL S.A.W.W KA NAWASA LADLA HUSSAIN HAI.
BABA ALI A.S HAIN TO MAADAR BATOOL S.A HAIN.
BS BAGH-E-MUSTAFA K DO HI TO PHOOL HAIN.
SAR KO KATA DIYA NA JHUKEY YAZEED K SAAMNE.
YE TAKHT-O-TAJ SHABBIR K KADMON KI DHOOL HAI.
HAIN HM HUSSAINI YE SUNLE DUSHMANAN-E-ALI.
HM KO ISHQ-E-HUSSAIN ME MARNA B QABOOL HAI.

           931


Lafzon Mai Kiya Likhun
“SHAHADAT-e-HUSSAIN”

Mohsin…

...Qalam Bhi Mera Ro Daita Hay “KARBALA” Ka Manzer Soch Kar

           932


mehshar main ye kahe ga khuda aao shekh ji
ye to batao ajre risalat main kiya kiya

sajdon ke tumne laien laga di hai dur tak
khak-e-shifa pe ek bhi sajda nahi kiya

           933


Matam e sh0q ko khud se Juda nahe karte

Hum Apne Dil pa Kabhi ye jafa nahe karte

ALI ka Ishq ek aesi namaz Hai jisko

Kisi b haal main m0min Qaza nahe karte..

           934


aankhon ka wazu karte hain shabbir ke gham se,

zakhmon ko rafu karte hain shabbir ke gham se,

tum saal ka aaghaz karte ho gunah se,

hum saal shuru karte hain shabbir ke gham se.

           935

RASOL(s.a.w.w) ny frmya :

Fiizza main koi parinda paar nahi marta magar Hamaray pass oss ka ilm

hota hy.

( Ref: Ayoun Akhbar-ul-Reza )

           936


Shokhi Py Utar Aayen Hain Is Dour k Mulla
Lagta Hai k Salman a.s Inhain Yad Nahi Hai
Sooli Se Daratay Hain Ye Shiyan e Ali Ko
Kia Maisam e Tammar Inhain Yad Nahi Hai

           937


"Kisi insan ki khubi ko pehchano or usy bayan kro,

Lekin agr kisi ki khami mil jae to yahan tumhari khubi ka imtehan hai,

"MOLA ALI"A.S"

           938


HAi Marqad e HussaiN a.s Tamanna e Akhri
JanNat Bhi Gar Milay To Na Len KARBALA K Bad

           939


Qalam Ny Seekha Hai Ye Wazeefa, Dua Se Pehlay HussaiN a.s Likhna
Mere Azizon Kafan Py Mere, Qaza Se Pehlay HussaiN a.s Likhna
NAmaz Boli Azan Boli, Kisi Ki Kat Kar Zubaan Boli
Sada Lagao Ali a.s Ali a.s Ki ,Sada Se Pehlay hussaiN a.s Hussain a.s

           940

Wo Noor Jisko Shah e MashraQain Kehty Hain
Usi Ko Noor e Khuda j.j Noor e Ain Kehty Hain
Bikhar Gaya To Wohi Noor Kainaat Bana
Simat Gaya To Usi Ko HussaiN a.s Kehty Hain

           941


SAjday Mai Mehve Raaz Thy JAb Be Niaz Se
Bethay HussaiN a.s pusht e Mohammad saww Py Naaz Se
Sajday ko Dy k Tool Ye Bat'la Gaye Rasool saww
Logon Mera HussaiN a.s Hai Afzal NamaZ Se

           942


Ho Ba Amal To Shoq Se Naam e HussaiN a.s Lo
Gar By Amal Ho Daman e Sarwar a.s Ko Chor Do
Hum Shakal e Mustafa Se Agar Piyar Hai Tumhain
Sun Kar Sada AzZan Ki Bistar Ko Chor Do

           943


Sajday Mai Sar Katanay Par Ibadat Naaz Karti Hai
Khoon Se Wazoo Jo Kar Lo To Taharat Naaz Karti HAi
Shaheedon Ko To Aksar Naaz Hota HAi Shahadat Par
Hussain Ibn e Ali a.s Tujh Par Shahadat Naaz Karti HAi

           944


Mujhay Tareekh MAi "Lakriyon" "Phataron" K "Mimber" Py Bohat Khateeb

Milay MohsiN
MAgar Khuda Ki Tareef Karty Huwe Nezay k Mimber Py Sirf Ek HussaiN a.s

Mila.

           945


Sun Kar Teri Zubaan Se Naizay Ki Nouk Par
Lutf Aagaya Khuda Ko Bhi Apnay Kalam Ka

           946


Yun hi Islam k Paikar Mai Mazbooti Nahi Aai
Bari Anmol Janay Di Hain Aulaad e Pyghamber saww Ny

           947


Zikar e Hussain Aaya To Aankhain Chalak Paren
Kitna Piyar Hai Paani Ko Ab Bhi HussaiN a.s sy

           948
...::: SaFeer-E-Aza
    SMS CLUB :::...

YA HUSSAIN (a.s) TERA MATAM KAR KAR K MAR JAOGA
NAAM LONGA ALI (a.s) KA PHR SE ZINDA HO JAOGA

           949


Mere Siwa Sar e Maqtal Muqaam Kis Ka Hai
Kaho k Ab Lab e Qatil Py Naam Kis Ka Hai?

Humari Laash Py Na Dhundo Ungliyon k Nishaan
Humain Pata Hai Azizo Ye Kaam Kis Ka Hai

Wo Mutma'en Thy Bohat, Qatal Kar k Mujh Ko
Magar Ye Zikar e Wafa Subah o Sham Kis Ka Hai?

           950
     951Dekh Kar Nezay Py Teri Haq Bayani Ya HussaiN a.sHai Yazeediyat Abhi Paani Paani Ya HussaiN a.sPathaRon Ka Bhi Kaleja Sun k Ho Jata Hai MoMTere Akbar a.s Tere Asghar a.s Ki Kahani Ya HussaiN a.sJab Kahin Selaab Aaya Hai To Ye Samajhta Hun MAiDhondta Phirta Hai Ab Bhi Tujhko Paani Ya HussaiN a.s           952 Ya RAB Koe MiL Jaey Na Pehchanay WaLa Bazar Main SAJJAD Dua Maang Raha Hay Tarekh Ne Ghirat Ka KHUDA Likha Hy Js Ko Har Mor Py ZAiNAB Ke Rida Mang Raha Hy           953ZAiNAB Nay Kaha Haey Mera ABiD'e Muztar Kanton Pay Ta Shaam ChaLa ABiD'e Muztar           954aisa ghareeb hai mera choutha (4) imam logon,taboot per phoolon ki nahi zanjeer ki chader hai           955dakhal kuch isme na taqdir na tadbir ka hy...dab daba asl mian ye ABID E DILGEER ka hai...bus is khof se zalim ne pehnai zanjeer.laakh bemar sai,khoon to SHABBIR ka haisalaam ya imam zain ul abideen a.s           956Naam-e-Mohammad se Khushbu-e-wafa aati hai ,Unke rauze se ummati ummati ki sada aati hai,Kash baithe hum madine ki galiyo me,Kehte hai waha jannat se hawa aati hai...!!!!           957Gham e Hussain ibn e Ali(as) ka jab samandar ban gaya,Aalam e tashnalabi may houz e kausar ban gaya.Tha bahut mayoos Rahib gardish e haalaat say,Jab dar e Shabbir(as) par aaya muqaddar ban gaya.           958"Allah Ta'ala Ne Arsh Par Kuch Aise Farishte Paida Kiye HainJin Ka Khana Peena Muhammad o Al_Muhammad 's' ParDurood Bhejna Hain Or Un K Muhibon K Liye Astagfar Karna Hain"...Hazrat Imam Jaffar Sadiq asBook: Usool_KafiJuld: 22

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...