Monday, 3 November 2014

Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain

Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain

             701


Sab se bari salt'nat apny nafs ka hukmaran hona hai.
MOLA ALI(A.S)



Muje "TANHAE" Is Liye ACHE Lgti Hai
"Sawan"
Q k Ye Aakhri Waqat Me Mere "MOULA HUSSAIN" (A.S) K Sath Thi
{SALAM YA HUSAIN A.S}

             702


S.AHQAAF.15

Aur Humne Insaan ko Maa Baap k Sath Bhala'i karne ki Takeed ki,
Us ki Maa Taklif Utha Utha kr Us ko Pait men Liye Liye Phiri,
Aur Taklif hi se Janam dya,
Aur Pait men Uthane aur Doodh Pilane ki (Taklif se bhari) Mudat Dhaa'i Saal h

S.IBRAHIM.41

Parvardigar!
Meri aur Mere Waldain ki aur Tamam Mominin ki Us Din Maghfrat Frma Jis Din Hisaab Qaim hoga "AMEEN" (SALAWAT)




Koi Daulat Pe Naaz Karta Hai
Koi Shohrat Pe Naaz Karta Hai
Pr Jin k Hathon Mai Ho Daman e Panjatan Paak
Wo Apni Qismat Pe Naaz Karta Hai...!!!

             70

tarap rahey tarpney walay machal rahey hain machelny walay
sada se jalte hain jal rahe hain wo bughz-e-haider a.s mai jalnay walay
ajeeb ye silsila hay mohsin ajeeb hum ne rawish ye dekhi
ali a.s k aageyhi bonktey hain ali a.s k tukron pe palney walay
             704

Jo ALI (a.s) ka na hua kab wo hamara hoga.......
wo to bas katib-e-taqdeer ka mara hoga........
Ghasib-e Bagh-e Fidk hashar k toofano me......
teri kashti ko muyassar na kinara hoga.......
is liye bhi ye Sunnat hy RASOOL-e Deen ki......
mery honto'n pe HYDERI Naara hoga........!!!!

             705

Ay Dost A k Manzar-e Khum-e GHADEER Dekh
hy Sth Aftab k Badar-e Munir Dekh
Wada Wfai k Liye Dsht-e Ghadeer Me
Dast-e NABi Me Dast-e janab-e AMEER Dekh

             706

.!!HAMARI EID HUA KARTI HAI GHADEER KAY DIN..!!
..!!KISI KO AAG LAGA KARTI HAI GHADEER KAY DIN..!!

##Say all ya ALi Madad..##

             707


18 zihaj turab ke kamrani e BUTURAB ka din.
18 zilhaj shaur ka din ghurur ka din sawab ka din.
18 zilhaj shariat e MUSTAFA se kamil shabaab ka din.
18 zilhaj ALI ke munqiron pe aazaab ka din.

18 zilhaj khuda ne janat banae apne ALI[a.s] ke sadqe
18 zilhaj ko deen kamil hua hai mere ALI[a.s] ke sadqe.


EID E GHADEER Mubarak 2 all..

             708


Taray dil k andar bugz-e-ALI
Maray lab pay har dan ALI ALI

Tari roh may basta har munkar
Maray khoon may shamil ALI ALI
...
Tu dar dar phirta rahta hay
Maray har dar pay hay ALI ALI

Tara ishq hay tare hasti may
Mari sobh-o-sham hay ALI ALI

Tu kar lay jitnay sajday b
Mara Qibla Qaba ALI ALI...

             709

Aamad-e EiD-e GHADEER MUBARAK
"
Jo Shakhs ELm-e Adam a.s _ Fehm-e Nooh a.s _ HiLm-e iBrahim a.s _ Zohad-e Yahya a.s _ Seerat-e Moosa a.s ko Daikhna Chahay to

Usay Chahiye Ky ALi iBn-e ABi TaLib a.s ky Chehra-e Anwar ko Dekhay
"
HADEES_savw__14 Sitary

             710


Shoq-e-Hubdari me jo Kahil hua
Samjho hr chiz se wo Ghafil hua
Murtaza banay jb Muslmano k MOLA
Tab Khuda ne kaha Din Kamil hua
Tabir se drte hein na Taqdir se drte hein
Hm ALLAH wale ALLAH ki Toqir se drte hein
Jibrel ne jo Mara tha jn k Murshid ko Tmancha
Esi sabab ye Log Aj naam-e-Ghadeer se drte hein

             711

Jis Ke Nazro'n Main MOLA Mera Best Hy
Aaj Ke Shab Woh Firdoos Ka Guest Hay

BhooL Kar Bhi Yaha Na Aana Shaikh Ge
JHASAN'e GADEER Nahi, D.N.A. Test Hy

             712


Jis Ke Nazro'n Main MOLA Mera Best Hy
Aaj Ke Shab Woh Firdoos Ka Guest Hay

BhooL Kar Bhi Yaha Na Aana Shaikh Ge
JHASAN'e GADEER Nahi, D.N.A. Test Hy

             713



Sheh khete they yeh lashkar-e-aada mere agey
aese k hoo khaak ka zarra mere agey.

Kaiber mey Ali khete they derwaza gira ker
Kiun rakha tha tumne yeh khelona mere agey

Jibreal yeh kisi Maa sey kaha kerte they akser
Rakh dijiye Shabir ka jhola mere agey.

Mey jab bhi uthata hun Alam Ibn-e-Ali ka
Chalta hai Alamdar ka Saya mere agey

Do Ashk Hi Ankhon Sey Girey They Sir-e-majlis
Saya Kissi Rumaal Ka Aya Mere Agay
             719

Nagar nagar main chamn chamn main kali kali main ALI(AS) ki baatein
mera wazifa hai roz karna gali gali main ALI(AS) ki baatein
ALi(as) ki majlis Ali(as) ka jalsa kiya karo masjido main lagoo
saroor aaye ga jab bhi houn gi Ali(as) k ghar main Ali(as) ki baatein..!!

             720


Eid-e-Ghadeer Ishq ki manzil kaa naam hai

Mehfil saji hai dhoop mein kya ahtamam hai

Bheja RAB nay Taaj Nabi (SAWW) ke Haath mein
...
Goya aaj dulha bana mera Imam (A.S.) hai

             721


" Tum pr Lazim hay k Fasiqon ki Sohbat se guraiz karo
Q k jo Shakhs kisi groh k kisi kam pr Razi ho wo unhe mai Shumar ho ga "
Maula Imam ALi A.S

             723

Rehti  hay Mary Lab pay hamesha Yahi DUA,
Ya Rub Ali (A.S)  kay chahnay walon ke khair ho.
Eid_e_Ghadir mubark ho.

             724


//WILAYA//
Nabi pak (s) ne farmaya:
Bura hai anjaam un logon ka jo Ali(a) k Haq (wilayat) per shak krte hein,
Yad rakho jo Ali(a) se bughz rakhta hai aur jo cheez Ali(a) se juda hai wo mujh se bhi juda hogi...

Ref:
Tadoami al-muajam.
Ahle sunatJ#8, pg# 49-50

EID_e GADEER
//MUBARAK//

             725


Jibrael or Qamber pe kya munhassir,

der tera chhor ker koi jata nahe,

jo ghulami ka teri maza pa gaya,

raas jis ko teri nookri aa gae.


Tamam muhibban e Ali (a.s) ko
Eid-e-Ghadeer mubarak ho.
   
             726


"GHADEER KIA HAY"

Turab Pay Taj Poshi Buturb Ka Din
ALI(as) Ki Tuseef May NABI(saww) K Khitab Ka Din

Ali(as) NABI(saww) K Kareeb Phonchay K Noor K Pas Noor Aya

NABI(saww) WASI(as) Ko Otah k Bolay SIFAT.E.RAB Ka Zhoor Aya

ALI(as) Seeraat.o.Sabeel B Hay
ALI(as) Tumhara Kafeel B Hay

ALI(as) Ka Munsub Jaleel B Hay
ALI(as) Ki Midhat Taweel B Hay

ALI(as) Humara Wakeel B Hay
ALI(as) Khuda Ki Daleel B Hay

ALI(as)Momin Ka Aqeel B Hay
ALI(as) Ka Munkir Zaleel B Hay

Haqiqatan Muj Say Jung Hoge
Agar Tum Uljho Gay ALI(as) Say

Yahain ALI Hay Wahain ALI Hay
Batao Bhago Gay Kis ALI Say"
             727.

Zaban Shier Jis ki Tareef Karkey Thak Jaey
Shair Qalam Chala Chala Key Sar Na Kar Paey
Fazail Ka Woh Falak Shagaf Pahar Hey Ali(A.S)
Namaz Ishq Jis Key Liye Firdoos Mein Parhi Jaey

             728


Eid e Ghadeer Mubarak

Takmeel din naam hai jashan e Ghadeer ka,
Bheja hai taj rab ne nabi ke wazeer ka...

Aao ALI ke chahne walon khushi khushi,
Yeh jashan ho raha hai janab e ameer ka...

Koi ALI ko maula kahe, koi na kahe,
Yeh masla azal se hai zarf o zameer ka...

Kafir humein woh likhte hain deewar o dar pe ajj,
Hai jin ke dil mein zakham abhi tak ghadeer ka...

Meri lahad mein aayeinge maula e kainat,
Kya kaam meri qabar mein munkir-nakeer ka...

Madh-e-ALI ka jis ko jahan mein hunar mila,
Ehsan hai uss ki zaat pe rab e qadeer ka...

Mushkil to uss ke qadmo mein khud lotne lagi,
Jis ne bhi naam le liye qambar ke peer ka...

             729


Baqa e Deen Ki Masnad Pe Allah Ka Walli Aya
Haqeeqi Waris e Mimber, Nabi Ka Jaanasheen Aya
Ali Ko Kiya Mubarak De Rahay Ho Tum WILAYAT ki
Mubarak Do WILAYAT Ko K Hai Naam e ALI Paya....

Shukriya EID E GHADEER TERA QALB E MOMIN MEHKA DIYA

             730


ALI(a.s) ko kon janey ga?
Kahan pr faisla hoga?
ALI(a.s) kya hai?
ALI(a.s) janey ALI(a.s) ko pata ho ga...
Aazanon main ALI(a.s) aaey to kehtey ho k batil hai,
ALI(a.s) kabey main aaya hai,
Bta kabey ka kya ho ga...????

             731

][\/][ A N ~*
|""|/""/ U N t ~*
|__|"\_'\ ][\/][ O L A
F A ~*
|""|__|"| 
|__|""|_| A Z A ~*   /"""\    ,:*""*:, /  / /   L I,*"*^"
/__/""\__\][\/][ola
,:*"*:,JASHN-E-
*,EID-E-GHADEER  "*, MUBARAK~*
Mola ALI a.s ki Taj Poshi MUBARAK

             732

MaQtaL Se ja MiLi hy Rwani Ghadir ki

thi Mimber-e Sina Pe Nshani Ghadeer ki

Panja hr Ek ALAM* Pe Sunata h Aaj B

Awaz-e KARBALA* Me kahani Ghadeer ki
EID GHADEER MUBARAK

             733



*<18>*Zil'Hajj
"Amir al-Mu'Minin ALI Ibn-e Abi Talib<as>Ki Tajposhi Mubarak Ho*
"Quraan-e-Karim:
"Aaj Main Ney Tumharey Deen Ko Kamil Kar Diya Neaz Tum Per Apni Nemat Bhi Puri Kardi Or ISLAM k Aaeein Ko Tumharey Leay

Pasand Kar Liya-
(Surah Maida Aayat,3)
"Khandan-e Amir al-Mu'Minin ALI<as>Per
 *<SALWAT>

             734


ALi Se Piyar hy Duniya ko Btlana Zaroori hy"
jo Zinda hn to Phr Zinda Nazar Aana Zaroori hy"
Sharab-e ishQ HYDER Aisi hy jis k Peeny Me"
Suraahi ki Zaroorat hy Na Paimana Zaroori hy"
Agar RonaQ Barhana Chahty ho apni msjid ki"
To Masjid k Barabar Me Aza-khana Zaroori hai'.
        EID.E.GHADIR MUBARAK HO

             735


 *18 Zil_Hajj*

Chamakta hy kaha'n AfLak Par Mehr-e Mubee'n Aisa
?
Ho Ga Na WiLayat ki Angoothi Me Nagee'n Aisa

Khuda Mehfooz Rakhe Chashm-e Bad Sy Husn-e HYDER* ko

Bari MushkiL Se Paya hy NABi* Ne ja-Nashee'n Aisa.!

Salawaat..

*~Shab-E Eid-E Ghadeer Mubarak~*

             736


Jitnay Bhi Hain Jahan Main un ke Baray Baray
Detay Hain Mushkilon Main Saharay Baray Baray

Jab Bhi Kabhi Halaak Honay Ka Imkaan Hua
Aae ALI (AS) Ke Paas un ke baray baray

Tohfa KHUDA Ne Bhej Dia ZULFIQAR Ka
HAIDER (AS) Ne Pehalwan Jo Maaray baray baray

HAIDER (AS) Ko Phr HUZOOR (SAWW) Ne Khaibar Talab Kia
Pit Pit Ke Bhaag Aae Jo saaray baray baray

Hathon Pe MUSTUFA (SAWW) Ne ALI (AS) Ko Kia Buland
Bethay Rahay Zameen Pe saaray baray baray

Tamam Momineen or Mominaat ko Dil ki Gehraion se
Moula-e-Kainaat Ki Taj Poshi ka Jashan Buhat Buhat Mubarak ho

             737


*"IMAM ALI RAZA (A.S)
Ka Farman-e-Pak Hy K:

""Ba'Roz Qayamat Arsh-e-KhuDa K Samney 4 Roz Aisi Zaib Zeenat K Hazir Kiye Jaenge.
 Jis Tarha Dulhan Ko Araasta Karte Hen.
EK ROZ JUMATUL MUBARAK
EK ROZ EIDUL FITR
EK ROZ EID E QURBAN
AUR
EK ROZ EID E GADEER.
Or
In Sub Mai EiD e Gadeer Ka Din Aisa Hoga Jesy SitarOn Mai Chand.""

eid e gadeer
mubarak

             738

Tm Bhi To Muskara k Kho YA ALI Madad.

Hum Ne Kha to Kufer k Fatway Laga Diye,
Khyber Ma Khud NABI Ne Kha YA ALI MADAD.

Momin Ki Ha Sda Qalandar Ka Qoul Ha,
Munkir ka Dil Jla k Kaho YA ALI MADAD.

So kar(Shabe Hijrat) KHUDA ki Saari Razaaen Khareed Li,
Jibrael Ne Jaga k Kha YA ALI MADAD.

"Mohsin"Meri Lehad Main Wo Manzar Ajeeb Tha,
Jab Main Ne Khud ALI Se Kaha YA ALI MADAD.

Happy Eid Ghadir Mubarak
             739


NABI-E-KAREEM saww Ne Frmya

Kya men Mominin ki Jaano ka Un se Ziyada Maalik hon?
Sub Ne Kaha G Han
To Phr Frmya

JIS KA MEIN MAULA US KA ALI MAULA_as

KITAB-AHL E SUNAT

Jame Tirmizi-2/710

Khasa'is-90 Nisa'i

Mishkaat-3/243

Riazul Nazra-3/309

Zakhairul Uqba-H-135

Tarikh e Khulafa-301

Jamaiul Saghir-H-59

Savaiqul Muhraqa-155

Asbab e Nazool-150
Manaqib-19 Maghazli

Yanabiul Mavadat-59

Arjahul Matalib-925

Kokib Duri-152

Kanzul Matalib-144

             740


Shahanshah Mola Imam Ali Raza (s.s.a) farmaty hain:

"Gadeer k Din ALLAH  Maah-e-Ramzan, Shab-e Qadr Or Shab-e Eid-uL-fitr Se 2 Guna Ziada Logon ko Aatish-e jahannum Se Aazad

karta hai"

Refrence: > Mafati # 503

             741


Eid-e GHADEER Momineen Ko Mubarak!!

Hai Aaj Tapti hui Ruton me ye Haajion ka Hujoom kesa
"
Ajeeb Manzar hai itni garmi Namazion ka Hujoom kesa
"
KHUDA ki Hamd-o Sana bhi sun lo ye Qaariyon ka Hujoom kesa
"
Hai Haath kiska hai Saath kiska, ye Saathiyon ka Hujoom kesa
"
NABI_s.a.w.w ye boley k Maano Is Ki k Mera Tum Pe Inaam Hoga
"
Suno Ae Logon, k Baad Mere, ALI_a.s Tmhara Imam Hoga..

ALI_a.s Haqq..!!

             742

Imam jaffar sadiq a.s sy kisi ny sawal kiya k kya muslamo ki juma
Eid ul aza
Eid ul fitr
K siwa bhe koi eid hai to Ap a.s ny frmaya han ek or eid hai wo din jis din Rasool Khuda s.a.w.w ny Imam Ali a.s apni khilaft

k liye mnsookh kiya or frmaya Mai s.a.w.w jis ka mola ye Ali a.s os ka mola or wo 18 zil haj hai
Is roz roza rakhna chaiye or ibadet krna chaiye or All-e-Ahmed a.s ko yad krna chaheye
OR
Rasool s.a ny Imam Ali a.s ko wasiyt ki k is roz ko eid ka roz smjen or hr paighmbr a.s ny apny wasi ko wasiyt ki k is roz

eid qarar dain

Ref Mufati ul jinna
Page 502.
Mustajab

             743


ALi a.s Zameer-e Junoo'n _ Meer-e Karvan-e Khirad

ALi a.s Shaoor-e imamat  _ ALi a.s Ghuroor-e Samad

ALi a.s Ameen-e Ramooz-e RASOOL_savw Fikr-e AHAD

ALi a.s DiLair _ Bahadur _ Sakhi _ Kareem _ Asad

ALi a.s k Zikr Se Jannat WusooL Hoti hy

Baghair is k Dua kab QabooL Hoti hy
?
Aamad-e Ghadeer MUBARAK*

             744

Yun RehL-e-Nabuwwat Pe Hy Quran-e-WiLayat

Hatho'n Pe ALi* Lab Pe Hy AyLan-e-WiLayat

Ouncha To FaQat Hath ALi* Hi Ka MiLay Ga

Maidan-e-Qayamt Ho K Maidan-e-WiLayat.
"
JÄSHN-E-EiD-E-GHÄDEER Aap Sub MÖMENEEN-Ö-MÖMENÄT Aor BiLkhusoos SÄRKÄR iMÄM-E-ZÄMÄNÄ<aj'frj> Ko Bohat Bohat MÜBÄRÄK  HÖ.
SÄLWÄT..
             745


Aaj Bhaagne Wale, Raasta Na Painge,
Maimana Ghadeeri Hai, Maisara Ghadeeri Hai.
Naam Leke Haider Ka, Ham Ye Jaan Lete Hain,
Kon Hai Saqeefaaai Kon Sa GHADEERI Hai.

Tmam shyan'e' ALI a.s ko
Eid 'e' Ghadeer
Mubarak.

             746


sawa lakh hajiyon k sath nabi s.a.w.wapis lot rhy thy ,
jb ghadeer e khum ki wadi tk ponhchy to wahee nazil huvi (maeda 67) ae rasool ponhcha do...
to nabi ne sub ko roka aur khutba dia boly k men dunia se jany wala hon
 mery baad tumhara hakim, maula, sarparast ye Ali a.s hy.
 Ref:sahi muslim j2 p279.  sawaiq muharqa p41.)
*EID e GHADIR**  mubarak ho.

             747

Imam-e-SADIQ a.s fermatay hain RASOOL'ALLAH saww ne fermaya

"Yom-e-Ghadeer meri Ummat ki tamam Eidon me subse BEHTER hai. Ye wo din hai jub ALLAH nay mujhe apnay bhai ALI a.s ko

Rehnuma-e-Ummat muqarrar krnay ka hukm diya ta k loug meray baad IN se hidayat hasil krsakain aur isi roz ALLAH ne Deen ki

takmeel ki, Ummat ko atmam-e-Nemat se serfraz kya aur Deen-e-Islam ko Khushnudi ki sanad ata fermai."

Ghadeer-e-Khum aur Khutba-e-Ghadeer pg#11

EiD Mubarak

             748


HADIS e GHADEER
aur
ULLAMA e AHL e SUNAT

Allama Ibne Aqdah Ne Ise 168 Tariqon se Rwyat kya

Imam Tabri Ne HADIS E GHADEER k Muta'liq aik Pura Risala Taleef kya "AL WALLAYA"

Haafiz Sajastani Ne 120 Sahaba_ra se Rwayt kya

Sirajul Mubin Men 96 Sahaba_ra k Nam Darj hen jinhone Rwyat kya

Arjahul Matalib men 101 Sahaba_ra aur 180 Muhadisin k Nam jinhon ne Is Hadis ko likha

Dr Tahirul Qadri Ne "AL Saiful jali" men 51 kitabon ka Ref dya

             749


"Hr Saheb e Taqdeer ko Taqdeer mubarak,

Ho hr kisi ko apna apna peer mubarak,

Dhak Dhak ki jaga jin ka Dil ALIas ALIas kre,

Unko meri Taraf se"GHADDER" mubark.

             750


Saaqi~E~Khum teray saaghar ka biyan baaqi hai,
Mimbar~O~Daar pe Meesam ki zaban baaqi hai,
Sun k Ealaan~E~ WILAYAT sar~E~Maidaan~E~GHADIR,
Log kuch aisay jalay ab bhi Dhuaan baaqi hai...
Eid~e~Ghadeer Mubarak ho.
           751


!!Banay Hain Dulha Ali 'as' ,, Zehra 's.a' Ki Hai Rukhsati .
19 zihaj rukhsati e janab e fatima zehra 's.a' mubarak ho .....!!

           752


Ye Ambiya Hain, Ye Auliyaa Hain
Ali Wali Ki Barat Dekho

Kaaee Baharain Guzar Gaen Hain
Khila Na Aesa Chaman Jahan Mai

Kahin Khudaee Mai Aesa Nosha
Kahin HAi Aesi Dhulan Dekhi

           753


Jannat ki shehzadi susaral ja rahi hai
charon taraf fiza mein khusboo si a rahai hay
jannat ki shahzaadi susraal ja rahai hay
hathon mein hal ata ka kangna bundha hua hay
mathey pe kul kafa ka jhoomer saja hua hay
chehrey pe la-fatah ka ghaaza mala hua hay
payal say innama ki jhankaar a rahai hay
jannat ki shahzadi susraal ja rahai hay

jhil mil huey sitarey wan najam k aba mein
jhaler hay ghurbaton ki charon taraf quba mein
kono makan k faqay pewand hain rida mein
chuki tilawaton ki leh gunguna rahai hay
jannat ki shahzadi susraal ja rahai hay
jannat k phool aye tooba ki aai daali

kaanon mein jhil milai shermo haya ki baali
mehraaj mein mili hay nath kion na ho hilali
ghuzli sadaqaton ki gerden mein bha rahai hay
jannat ki shahzadi susraal ja rahai hay

walfajr aa k sadqa rukhsaar ka utarey
walleil aa k gehsoon shaamosehar sanwarey
walshams walqamar k kaano mein goshwarey
watteeen k hararey sandal laga rahai hay
jannat ki shahzadi susraal ja rahai hay

do phool ismaton k gulshan mein khil rahay hain
alhamd or kosar do soorey mil rahay hain
behreein ye azal say hi muttasil hi rahay hain
kudrat bhi is milan per khud muskura rahai hay
jannat ki shahzadi susral ja rahi hay

fakhre janah dulhan hay,shah-e-zaman hay dulha
ismat zaban dulhan hay,quran sukhun hay dulha
khairun nusa dulhan hay,khaiber shikan hay dulha
tatheer ayaton ki doli saja rahai hay
jannat ki shahzadi susraal ja rahai hay

Rukhsati Makhdoma e Konain, Syeda Tul Nisa e Aalameen Bibi Pak Janab e Hazrat e Fatima Zehra
s.a Mubarak Ho

           754


"FARMAN.E.MOLA ALI(as)"

"Gussay May Anay Walay Shaks Say Had Dharmi Na Karo Is Liya
K Had Dharmi Issay Mazeed Gussay Ki Taraf Lay Jay Ge
Or Is Tarhain Wo Kabhi Rahay Rast Ki Taraf Nai Platay Ga"

Book Ref:
MOLA ALI(as) K AQWAL

           755


Hzrt Abu Saeed_ra aur Hzrt Jabir bin Abdullah_ra Farmate hen

ALLAH ki Qasam Hum AAP_saww k Zamane men Apne Andar Munafiqeen ko Imam Ali_as se Bughz

Rakhne ki Wajah se Pehchante the

KITAB-AHL E SUNAT

Jame Tirmizi-2/711

Zakha'irul Uqba-HDS-203

Tarikh e Khulafa-303

Yanabiul Mavadat-348

Arjahul Matalib-849

Ghayatul Ajabat-155

Kanzul Matalib-112

Hub e Ali_as-6

           756


Ayat-e-kirdigar ka hamil ha ya nhi,

Qaul-e-Rasool-e-Pak me shamil ha ya nhi,

Keh k ma YA ALI MADAD krta ho ye pata,

Kya tu mere salam k qabil ha ya nhi.

           757


"Jahill woh hota hai jo ALLAH ki nafarmani karay
 khuwah daikhnay may kitna hi khobsorat or bari shan wala ho"
Hazrat Mohammad{PBUH}

REF:MeezanulHikma,j2,p 250


           758

Agar kisi iNsan ki Qeemat Lagani ho to Us k Ehsas-e Zimma-Dari Se Lagao
Jitni Us Me Ehsas-e Zimma-Dari ho Gi Wo Utna hi Qeemati ho Ga
"
MOLA Ali a.s

           759

BABUL Hwaij is Lye Mola ka Hai LQab
Drbar ye Boht Bare Hajat Rwa ka Hai
Mshkil ki kia Majal k Asan Ho Na Jae
ABBAS Nam Dosre Mshkil Ksha ka Hai

           760


MALANGON ki Nigahon me ajab Msti nazar aai,
Bulndi ASMANON ki unhen Psti nzr aai,
Kabi BEHLOL ne Bechi Kabi HUR ne Khridi,
KHUDAWANDA tri JANAT bri ssti nzr ai.

           761


Hzrt Ume Salma_ra:

NABI-E-KAREEM saww Ne Farmaya

Jis ne Mere Ali_as se Muhabat ki Us ne Mujhse Muhabat ki aur Jis ne Mujhse Muhabat ki Us ne

ALLAH se Muhabat ki
Aur Jis ne Mere Ali_as se Bughz Rakha Us ne Mujhse Bughz Rakha aur Jis ne Mujhse Bughz Rakha

Us ne ALLAH se Bughz Rakha

KITAB-AHL E SUNAT

Majmaul Zava'id-9/132 Imam Haismi

Riazul Nazra-3/292 Imam Muhib Tabri

Savaiqul Muhraqa-421 Imam Ibne Hajr Maki

Tarikh e Khulafa-307 Imam Sayooti


           763


Ek shakhs ne ek buzurg se kaha

"MAIN SUKOON CHAHTA HUN"

Buzurg ne frmaya;
"iss jumlay mein se "MAIN" nikaal do, ye takabbur ki alaamat hai
"CHAHTA HON" nikaal do, ye khwaish-e-nafs ki alamat hay
"SUKOON" khud tumharay pas chal k aaye ga.

           764


ALLAH TALA Us Jawan se Mohabbat karta hai jo Apni Jawani or umar US ki
Ibadat mein Guzarta hai.
.
Hazrat Muhammad
(saww)
.
Ref:- Kunzul ammal
J60 , P43

           765


" Bagh_e_Jannat Pe KHUDA_e_
Azzalli Likha Hay,

" Daali Daali Pe MOHAMMAD_o_
ALI Likha
Hay,

" Sabz Patt'on Pe HASSAN Aur Kalii Per
ZAHRA,

" Surkh Phoolon Pe HUSSAIN
Ibn e ALI Likha Hay " ...!!

           766


TATAHEER k saae me nazon se pali hy.
KARBAL se barahena sar jo sham chali hy.
ZANAIB k naseebon pe chaya hy andhera.
Aashoor ki KARBAL me jab sham dhali hy.
Maidan me chali tujh pr khayam me lekin.
BHAIYA wo churi meri gardan pe chali hy.
Khutbe ki sada sun kr pucha hy kisi ne.
Awaz hy ZAINAB ki ya AP ALI hy.
DARWAZA-E-ZAINAB pr "jawad" jhuka hy
Mil jae jo is DAR ki wo khak bhali hy

           767

BETEY IMAM asw BAAP NABI saww Zouja-e LAFATA
Dunya Me Æsi Sahib-e ToQir 1 hy.

Me Or Betiyan B TasLim kr to Lu
QURAN Me Pr Aaya-e Tathir 1 hy.

           768


Dolat tamam deen pe qurban ker gain
Mastoor ho k kam wo zeeshan ker gain
Ya madar e batool(a.s) hamara salam lo
Sabr o raza ko zeest ka saman ker gain

           769


Kon bhule ga paigham khadija(as) tera
Dil ki duniya pe raqam nam khadija tera
Teri dolat ne dya den e MOHAMMAD(SAWW) ko frogh
Ab b mkroz he islam khadija tera.

           770

Aaya jo Zikr Mery Labo'n Pe GHADEER ka

Kitny DiLo'n Pe ChaL Gaya khanjar GHADEER ka

Pakeezgi-e khoon ki Pehchan Dekhiye

Pemana De Gaya hy Payamber GHADEER ka

           771


IMAM ALI_as Ne Farmaya

NABI-E-KAREEM saww Ne Mujh se Ahd Frmaya

K Sirf MOMIN hi Mujh se Muhabat karega aur Sirf Munafiq hi Mujh se Bughz Rakhega

KITAB-AHL E SUNAT

Sahi Muslim-1/114

AL Khasa'is-105 Imam Nisa'i

Zakha'irul Uqba-HDS-202 Imam Muhib Tabri

Savaiqul Muhraqa-417 Imam Ibne Hajr Maki

Tarikh e Khulafa-303 Imam Sayooti

           772


iMaM ALi (As)

1 BeparDa AuRaT ki misaaL Aisi Hai jasey wo mery QaTaL ki SazisH Mai MuLawis Ho!

ReF: Urooj_uL_MaRiFaT
vol 1, pg 128
-
jb tak hamare BEHnON ke sar dhake hove he....
hum BHAIYON K SAR uthe hove he.

           773


Midhat hy jo mtlb to unwan bohat hain
Izhar e wafa k liye saman bohat hain
Taseer tere sheer ki hai krbo bla tk
Ummat pe khadija tere ehsan bohat hain.

           774


Imam Ali Reza as :


Jo insaan Khuda k Mukhtasar Rizq pr Razi ho jta hy Khuda is k mukhtasr Amal pr bhi Razi ho

jta hy !!!

Nuqush E Azmat Pg 532

           775


Duniya ki mohobat se ALLAH nahi milta

lekin !

ALLAH ki mohobat se duniya or Jannat dono mil jati Hain.

           776


Hazrat Imam Hussain {a.s} se pocha gaya
{Maaldari kea he}
Farmaya
A'rzoa'on ka kam hona our jitna us k liye kaafi ho jai us par raazi rehna

Jis nay sakhawat ki us nay siyadat hasil ki
Jis nay bakhal kea woh zalleel howa

Reéf: Ma'ani al akhbaar
S#401
Bahar: j#78  S#121

           777


"Rukhsati"
"BIBI ZEHRA(sa)"

MAI(jj) Ne Apni Khosnodi Se
FATIMA(sa) Ka Aqad ALI(as) Se Kar Deea Hai

MUJHE(jj) Apni Ezat.O.Jalal Ki Qasam Mai In Dono Mai Se Aik Azeem Zuriayat Khalq Karo Ga

Jin Ko Mai Apni Taraf Apna Khazeenadar
OR
Apne Elm Ki Kan
OR
Apne Deen Ki Taraf Dawat Deene Wala Qarar Do Ga
OR
Nabiyun Or Rasolo K Bad In He Se Apni Makhloq Per Hujat Tamam Karo Ga"

Book Ref:
Ahadees.E.Qudsia PG#274

           778

Kalam ki nok se Ali k chahne walo ko salam likh raha hoon

Kuch khoon se kuch pyar se dastaan likh raha hoon

Ae mere dost parhna isko zara adab se

Main apni zindagi panjetan k naam likh raha hoon.

           779


Rukhsati Shehzadi-e Konain
Bibi FATIMA ZEHRA_s.a Mubarak Ho
_
Aaj Madhoom gham k saae hain
"
Yunh khushi ne qadam barhaae hain
"
Arsh se baarishen hain khushbu ki
"
Baag-e Jannat se phooL aae hain
"
Raqs karti hain sehen me Hoorain
"
Qudsiyon ne Par jmaae hain
"
Tehniyat de k RAB ki Rooh-e Ameen
"
MUSTAFA_s.a.w.w ko gaLey Lgaae hain
"
Noor ka kufo Noor thehra hai
"
ALI_a.s k Ghar me Aamad-e ZEHRA_s.a hai..

           780


Bibi Um-e-Salma r.a fermati hein k Rasool'Allah saww nay mujhe hukm dia kFatima s.a ko

arasta krdo, menay Bibi se pocha aap k pas koi khushbu hai ? wo 1 sheshe lay aain jis say

aisi khushbu i k kabhi na songhi thi.
Deryaft kia k ye kahan say mili ? Bibi s.a nay fermaya, "jub kabhi Wehb-e-Kalbi, Baba ki

khidmat me atay to takya ker k baithtay aur jub uthtay to jo kuch un k kapRon say girta Baba

fermatay is ko jama kerlo,
pocha k ye kia cheez girti hai ? Baba nay fermaya ye Jibrael thay jo basurat Wehb-e-Kalbi

atay hein, aur ye Amber hai jo in k badan se jhaRta hai."

Jila-ul-Ayon
v1 pg198

           781


Hazrat Ibn ABBAS Nay RASOOL(saww) Say Suna K
KHUDA Nay Muje (RASOOL(saww) Or ALI(as) Ko 5,5 Chezen Ata Ki Hain
Muje Quran Ata Kiya Hy
To ALI Ko Majmo'a Ilm
MUJe KHUDA Ne Nabi Bnaya Hai To ALI Ko Wasi
MUJe KHUDA Ne Kosar Ata Kya Hay ALI Ko Silsabeel(Janat Ki Nahr)
MUJe Wahe Ata Ki To ALI Ko Ilham Bksha
MUJAY(saww) Is Ne Asmano Ki
Sair Krwae To ALI(AS) K Liya Asmano K Drwaze Kholay Or Pardo Ko Hta Diya Gaya"
Book Ref:
Manaqib.e.Ahlaibait(as)
Jild 1 PG#252

           782


'Hargiz us Shakhs Ki Dosti Ikhtiyar Na Kro Jo Tumhari khata'on Ko
Yaad Rakhy or Tumhari Khubi'on Ko Bhool Jaye."
MOLA ALI A.S

           783


Kissi muztarib ki daad faryaad sun'na, or museebat zadda se shutkaara dilaana barre barre

gunnaho'n ka kafaara hy.

Imam Ali asw
Ref. Nehjul Balagah.

           784
"Kerna bara sawab hy MATAM HUSSAIN kaMazloom ka jawab hy MATAM HUSSAIN KADekho tu yeh EHTAJAJ hy zulm k khelafSocho tu inqalab hy MATAM HUSSAIN ka..."            790Nojawano ALI AKBAR Se Mohabbat Hy Agr,Apni Maaon Ko Pareshan Na Hony Dena,Subh-e-Aashoor K Ma'soom Mo'azzan Ki Qasam,Masjidon Ko Kbhi Weeran Na Hony Dena.            791Ankhon Men Ashq Apne Khemy Laga Rahe HenGhum K Tamam Mosam Dil Men Sama Rahe HenAulad-e-Mustafa pr Girya K WasteFarsh-e-Azza Bicha Do Muharam Aa Rahe Hen.            792"Dilon ki Emaaraton main kahin Bandagi NhiORPathar ki Masjidon main KHUDA Dhundte hain Log"!(IqbaL)            793Mile Jahan se kisi ko Kantey,Kisi k Hissey Gulab thehrey,Jise wo chahy Nawazta hai Ye mere Rab k hisab thehry,Bra Rahim-o-Krim hai Wo jisko dedey uski Mrzi,Kisi k hisay swab likh de kisi k hissey Azab thehry,Ye Apni taqdir se mila hai kI$I ko Darya kisi ko SehraKoi trasta hy Bond bher ko kisi k hissey sairab thehryKoi Din me b Sapnay Dekhey, Kisi se Neendein B Door ThehrenKisi k hissy Rat'jagay to kisi k Hissy Me khwab thehry.            794SAJJAD (a.s) Ke Sajdey Ka Hy Andaz Nirala,SAJJAD (a.s) Ki Soorat Men Hy Seerat Ka Hawala,Sooraj Bhi Hy SAJJAD (a.s) Ke Mathy Ka Ujala,Hr Sajid o Abid Ko Hy SAJJAD (a.s) Ne Pala,Ghr Ghr Men Musalley Kabhi Abad Na Hotey,Dunya Men Agr SYED E SAJJAD (a.s) Na Hotey.            796Sar mubarik tha sjday andarNamaz SARWAR parha rhy thy,HAZOOR agay sahaba pichayWo farz apna nibha rhy thy,Mahol aisy me muskuraty HUSSAIN ghar se jo aa rhy thy,HUSSAIN pusht-e-NABI pe bethy zamany bhr ko dikha rhy thy,Milay gi jannat piye ga kosarOsi ko mehshar me chain hoga,Namaz osi ki qabool ho gi k jis k dil me HUSSAIN (as)hoga..            797Insan Ke Pehchan-ILM- Se Nai HotiBal K IKHLAQ Se Hoti HyQ.K-ILM-To EBLEESK Pas B Bht ThaLekn Ache-IKHLAQ-Se Wo B Mehrom ThaIMAM IMAM  ALI (A.S)            798MUJE CHAND us Liye Acha Lgta Hain "MoMinKUs K Chahre Pr B Mere Sene Ke Trha MATIMe.HUSSAINa.s K DAAG HainMoula Karim Azadaro Ke Hifazat Frmana            799AHL E SUNNAT Ki Sb Se Mu'taber KITAB SAHI BUKHARI k Musannif(Writer) Imam e Hadis Muhammad bin Ismael Bukhari ki Qabr ki Mati ko Tabaruk Smjh kr Barkat k lye liya gaya(Bukhari-1/20)Imam Bukhari ki Qabr ki Mati Ahl e sunat k lye Tabaruk h TO PHR Imam Hussain_as ki Qabr ki Mati KHAK E SHIFA Q NHI?            800KHUDA Ki Qasam!Insan ki Rozi us ki Zarurat aur Museebat us k Sabr k Mutabiq Nazil hoti hy.IMAM Musa Kazim (A.S)"

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...